hello dosto delicious food recipies mein aap sabka hardik swagat hai .
aaj mein aapko bataunga ki ek bahut hi famous recipies ke bare mein .aapko aise toh title dekhkr hi pata chal gaya hoga.ki aaj mein konsa recipes batane ja raha hu. PANEER KHURCHAN,
cahliye fir dekh lete hai ki PANEER KHURCHAN ke liye kya kaya jarurat hai :
- paneer 500gm
- piyaz 2pcs
- shimla mirch 2 pcs
- tamatar 3pcs
- adhrak 1 tea spoon kata hua
- hari mirch 3pcs
- jeera 2 tea spoon
- haldi 2/3 tea spoon
- lal mirch 1 tea spoon
- dhaniya powder 2/3 tea spoon
- jeera powder 2/4 tea spoon
- kasuri methi 2/5 tea spoon
- dhaniya patta2/3 tea spoon
- garam masala powder2/3
- namak swad anusar
- tel jitna jarurat hai aapko
cahliye dekhte hai keyse banega:
- paneer ko patla patla kat lijiye
- piyaz aur shimla mirch ko bhi patla patla kat lijiye
- tamatar aur hari mirch ko kat ke mixer me pis lijiye
- aab kadai me tel garam kar lijiye aur usme barik kata huya adhrak jeera dal kar bhun lijiye,uske badh piyaz dal kar pakai,piyaz thora brown hone ke badh mixer kiya hua masala dal kar pakai,
- aab usme namak,haldi,lal mirch,dhaniya,jeera,garam masala,dal kar tel chorne tak pakai.
- aab usme shimla mirch dal kar dhimi aaac me 2/3 minute tak pakai
- aabhi usme paneer dal ke 3/5 minute tak pakai.
- aab usme kasuri methi milakar gas bandh kar de
- aab ek bowl me subzi ko nikal ke uske upar dhaniya patta se saja de ,,aur aapka ready ho geya DELICIOUS PANEER KHURCHAN.
dosto mein umeed karta hu ki aaapko yeh recipies pasand aya hoga.aur iss recipies se jude huye kuch bhi sawal agar apke paas hai toh aap jarur mujhe comment karke batayein..
aur jitna hota hai yeh post ko apne dosto ke sath bhi share kijiye.
aur aise hi new new recipies ke bare mein jaan ne ke liye delicious food recipes mein visit karna naa bhule kyu ki ham yaha pe regular ek new recipies aaplogo ke liye lekr ata hu.
0 comments:
Post a Comment