Sunday, 28 May 2017

PANEER MOMOS RECIPE


hello dosto delicious food recipies mein aap sabka hardik swagat hai .

aaj mein aapko bataunga ki ek bahut hi famous recipies ke bare mein .aapko aise toh title dekhkr hi pata chal gaya hoga.ki aaj mein konsa recipes batane ja raha hu. paneer momos.


cahliye fir dekh lete hai ki PANEER MOMOS ke liye kya kaya jarurat hai :

  1. 1cup maida.
  2. 2 onion.
  3. 1/2 tea spoon black pepper powder.
  4. 2 cup-carrot,capsicum,beans kata hua.
  5. 1 cup paneer .
  6. 5 lasoon.
  7. 2 green chilly.
  8. 1 tea spoon soya sauce.
  9. tel jarurat ke hisab.
  10. namak swad anusar.
cahliye dekhte hai keyse banega:

  • maida me thora namak aur thora tel dal kar milai.uske badh me thora pani gudh le ,aab gudha hua maida 15mins tak dhakke side me rakh le.
  • aab lasoon , onoin, green chilly ko barik kat lijiye.aab paneer ko mash kar lijiye.
  • aab kadai tel dalke garam kare aur barik kata hua lasoon dal kar bhun lijiye,uske barik kata hua onoin brown color hone bhun le,aab kata subzi dalkar pakai.aab subzi pakne ke badh usme paneer,namak,black pepper,soya sauce dal ke acche se pakai.
  • aab gudhe huye maida se chote chote loi bana le aur usse chota chota chapati bana le, aab chapati me thora paneer ka misran dalke side ke kich ke potli ke jaisa bana le momos ke aakar me.
  • aab plait me rakhe alag alag.
  • aab us plait ko idli cookar me dalke vap kar le 5 mins tak...

AUR YAE HO GEYA TAIYAR paneer momos..dosto mein umeed karta hu ki aaapko yeh recipies  pasand aya hoga.aur iss recipies se jude huye kuch bhi sawal agar apke paas hai toh aap jarur mujhe comment karke batayein..

    aur jitna hota hai yeh post ko apne dosto ke sath bhi share kijiye.

    aur aise hi new new recipies ke bare mein jaan ne ke liye delicious food recipes mein visit karna naa bhule kyu ki ham yaha pe regular ek new recipies aaplogo ke liye lekr ata hu. 

    0 comments:

    Post a Comment