Thursday 18 May 2017

PALAK TOFU RECIPE



hello dosto delicious food recipies mein aap sabka hardik swagat hai .

aaj mein aapko bataunga ki ek bahut hi famous recipies ke bare mein .aapko aise toh title dekhkr hi pata chal gaya hoga.ki aaj mein konsa recipes batane ja raha hu. PALAK TOFU.

cahliye fir dekh lete hai ki PALAK TOFU ke liye kya kaya jarurat hai :

  1. 300gm Tofu.
  2. 3cup barik kata hua palak.
  3. 2-3 tamatar.
  4. 1-2 piyaz.
  5. 1 pura lasoon.
  6. 1 tea spoon adhrak.
  7. 3-4 green chilly.
  8. 1/2 tea spoon jeera.
  9. 1 tea spoon red chilly powder.
  10. 1 tea spoon dhaniya powder.
  11. 1/3 garam masala powder.
  12. Namak swad anusar.
  13. tel jarurat ke hisab se.

cahliye dekhte hai keyse banega:
  • Tofu ko chota chota cubs me kat le.
  • aab ek nonstick pan me 1-2 spoon tel garam kar le.phir usme tofu dalke brown color hone tak fry kare badh nikal le.
  • aab dusra ek pan le usme palak ko boil kar le 1 mins tak.
  • aab piyaz,tamatar,green chilly,adhrak ko barik kat le.
  • palak thanda hone badh ,palak,tamatar,piyaz,adhrak,lasoongreen chilly ko mixy me dalke pis le.
  • aab kadai me tel dalke garam kare aur usme jeera dalke bhun lijiye,uske badh barik kata huya piyaz thora fry kare, aab usme namak,red chiily powder,dhaniya powder dalkar acche se mix kar le.aab pisa hua palak usme dalke dhimi aach me pakai,aab tofu dal ke 3-5 mins tak pakai .thora time ke garam masala powder dal gas bandh karde.dhaniya patta ho too thora katke upar garnis kar le.

AUR YAE HO GEYA TAIYAR palak tofu.dosto mein umeed karta hu ki aaapko yeh recipies  pasand aya hoga.aur iss recipies se jude huye kuch bhi sawal agar apke paas hai toh aap jarur mujhe comment karke batayein..

aur jitna hota hai yeh post ko apne dosto ke sath bhi share kijiye.

aur aise hi new new recipies ke bare mein jaan ne ke liye delicious food recipes mein visit karna naa bhule kyu ki ham yaha pe regular ek new recipies aaplogo ke liye lekr ata hu. 

0 comments:

Post a Comment